Wah Kya Judo Karam Hai Naat Lyrics
Wah kya joodo karam hai Shahe batha tera
Nahi sunta hi nahi maangne wala tera
Dhaare chalte hain ata ke woh hai katra tera
Taare khilte hain sakha ke woh hai zarra tera
Faiz hai ya shahe tasneem nirala tera
Aap pyaso ke tajassus me hai dariya tera
Agniya palte hain dar se who hai baada tera
Asfiya chalte hain sar se who hai rasta tera
Farsh wale teri shaukat ka uloo kya jaane
Khusrawa arsh pe udta hai farera tera
Aasmaa(n) khwan, zamee(n) khwan, zamana mehmaan
Sahibe khana laqab kis ka hai tera tera
Wah kya joodo karam hai Shahe batha tera
Nahi sunta hi nahi maangne wala tera
Main to Malik hi kahunga ke ho Malik ke Habeeb
Ya’ni Mehboob o Muhib me nahi mera tera
Tere qadmon me jo hain gair ka muh kya dekhe
Kaun nazro(n) pe chadhe dekh ke talwa tera
Behre saail ka hoon saail na kooye ka pyasa
Khud bujha jaaye kalega mera cheenta tera
Chor hakim se chupa karte hai ya iske khilaaf
Tere daaman me chupe chor anokha tera
Wah kya joodo karam hai Shahe batha tera
Nahi sunta hi nahi maangne wala tera
Aankhen thandi ho jigar taaze ho jaane sairaab
Sachche suraj woh dil aara hai ujaala tera
Dil abas khauf se patta sa uda jaata hai
Palla halka sahi bhari hai bharosa tera
Ek main kya mere isyaan ki haqeeqat kitni
Mujhse sau laakh ko kaafi hai ishaara tera
Muft paala tha kabhi kaam ki aadat na padi
Ab amal poochte hai haaye nikamma tera
Wah kya joodo karam hai Shahe batha tera
Nahi sunta hi nahi maangne wala tera
Tere tukdon se pale ghair ki thokar pe na daal
Jhidkiyan khaye kaha chchod ke sadqa tera
Khwaar o Beemaar o khatawaar o Gunahgaar hu main
Raafe o Naafe o Shaafe laqab Aaqa tera
Meri taqdeer buri ho to bhali karde ki hai
Mahwo isbaat ke daftar pe kadoda tera
Tu jo chahe to abhi mail mere dil ke dhule
Ki Khuda dil nahi karta kabhi maila tera
Kis ka muh takiye kaha jaaiye kis se kahiye
Tere hi qadmon pe mit jaaye ye paala tera
Tu ne Islam diya tu ne jama’at me liya
Tu Kareem ab koi firta hai atiyya tera
Wah kya joodo karam hai Shahe batha tera
Nahi sunta hi nahi maangne wala tera
Maut sunta hu sitam talkh hai zahraba e nab
Kaun la de Mujhe talwo ka ghasaala tera
Door kya jaaniye badkaar pe kaisi guzri
Tere hi dar pe mare be-kaso tanha tera
Tere sadqe Mujhe ek boondh bohot hai teri
Jis din achcho ko mile jaam chalakta tera
Ha-ramo Taiba wa Baghdad jidhar kije nigaah
Jot padti hai teri noor ka chanta tera
Teri sarkaar me laata hai Raza usko Shafe’
Jo mera Gaus hai aur laadla Beta tera.
Wah kya joodo karam hai Shahe batha tera
Nahi sunta hi nahi maangne wala tera...