islamicdb

Utha Do Parda Nasrullah Khan Noori Naat Sharif MP3 Download

Utha Do Parda by Alhaaj Nasrullah Khan Noori naat mp3 play online & download. Download and Listen to Utha Do Parda Nasrullah Khan Noori Naat in a Heart-Touching Voice, Along with the Lyrics. Also Available Utha Do Parda Nasrullah Khan Noori Naat WhatsApp Status and Ringtone Download.

Page Views: 1.3 K

Download MP3 (127)

Description

Utha Do Parda by Alhaaj Nasrullah Khan Noori naat mp3 play online & download. Large collection of Islamic naats shareef, download and listen online naat mp3 Online naats, hamds bayan & quran audios.

Utha Do Parda Nasrullah Khan Noori Naat Lyrics

Utha do parda dikha do chehra kie Noore Baari hijaab mein hai

Utha do parda dikha do chehra kie Noore Baari hijaab mein hai,
zamaana taareek ho raha hai ke meher kab se niqaab mein hai.

Nahi’n woh meethi nigaah wala, Khuda ki rehmat hai jalwa farma,
gazab se unke Khuda bachaaye, jalaale Baari itaab mein hai.

Jali jali boo se uski paida hai sozishe ishqe chashme wala,
kabaabe aahoo mein bhi na payaa maza jo dil ke kabaab mein hai.

Unhi’n ki boo maaya-e-saman hai, unhi’n ka jalwa chaman chaman hai,
unhi se gulshan mehek rahe hain, unhi’n ki rangat gulaab mein hai.

Teri jilau mein hai Maahe Taiba hilaal har margo zindagi ka,
hayaat jaa’n ka rikaab mein hai mamaat aa’daa ka daab mein hai.

Siyaah libaasaane daare duniya wa sabz poshaane arshe aa’la,
har ik hai unke karam ka pyaasa ye faiz unki janab mein hai.

Woh gul hai labhaaye naazuk un ke hazaaro’n jhadte hain phool jin se,
gulab gulshan mein dekhe bulbul ye dekh gulshan gulaab mein hai.

Jali hai soze jigar se jaa’n tak hai taalibe jalwaye mubaarak,
dikha do woh lab ki aabe haiwaa’n ka lutf jin ke khitaab mein hai.

Khade hai munkar nakeer sar par na koi haami na koi yaawar,
bataa do aakar mere Payambar ki sakht mushkil jawaab mein hai.

Khudaye Kahhaar hai ghazab par khule hain badkaariyaa’n ke daftar,
bachalo aakar Shafi’-e-Mehshar tumhara banda azaab mein hai.

Kareem aisa mila ki jiske khule hain haath aur bhare khazaane
bataao aye mufliso ki fir kyun tumhara dil iztiraab mein hai

Gunah ki taareekiyaa’n yeh chaayi umand ke kaali ghataaye aayi,
Khuda ke khursheed mehr farma ki zarra bas iztiraab mein hai.

Kareem apne karam ka sadqa laeeme be qadr ko na sharma,
tu aur Raza se hisaab lena Raza bhi koi hisaab mein hai.

Utha do parda dikha do chehra kie Noore Baari hijaab mein hai,
zamaana taareek ho raha hai ke meher kab se niqaab mein hai

Utha do parda dikha do chehra kie Noore Baari hijaab mein hai