Tere sadqe me aaqa Bilal Raza qadri owaisi mp3 Lyrics
Tere Sadqe Mein Aaqa Sare Jahan Ko Din Mila
Be Deenon Ne Kalma Pada La Ilaha Illallah
Hasbi Rabbi Jallalallah Mafee Qalbi Gayrullah
Noore Muhammad Sallalallah La Ilaha Illallah
Simte Nabi Bu Jahal Gaya Aaqa Se Usne Ye Kaha
Gar Ho Nabi Batlao Zara Meri Muthi Me Hai Kya
Aaqa Ka Farman Hua Aur Fazle Rehman Hua
Muthi Se Pathar Bola La Ilaha Illallah
Hasbi Rabbi Jallallah Maafi Qalbi Ghairullah
Noor E Muhammad Sallallah la Ilaha Illallah
Apni Bahen Se Bole Umar Yeh to Bata Kya Karti Thi
Mere Aane Se Pehle Kya Chupke Chupke Padti Thi
Bahen Ne Jab Quran Padha Sunke Qalam E Paak E Khuda
Dil Yeh Umar Ka Bol Utha La Ilaha Illallah
Hasbi Rabbi Jallallah Maafi Qalbi Ghairullah
Noor e Muhammad Sallallah la Ilaha Illallah
Woh Joh Bilal E Habshi Hein Sarwar E Deen Ka Pyaara Hai
Duniya Ke Har Aashiq Ki Aankhon Ka Woh Taara Hai
Zulm Huwe Kitne Unpar Seene Pe Rakha Pathar
Fir Bhi Lab Pe Jaari Tha Lailaha Illalallah
Hasbi Rabbi Jallallah Maafi Qalbi Ghairullah
Noor e Muhammad Sallallah la Ilaha Illallah
Duniya Ke Insan Sabhi Shirk o Bid’at Karte The
Rab Ke the Bande Fir Bhi Buth Ki Ibadat Karte The
Buth Khaane Hai Tharraye Mere Nabi Hai Jab Aaye
Kehne Lagi Makhlooq e Khuda La Ilaha Illallah
Hasbi Rabbi Jallallah Maafi Qalbi Ghairullah
Noor e Muhammad Sallallah la Ilaha Illallah
Gulshan Kalma Padte Hai Chidiya Kalma Padti Hai
Duniya Ki Makhlooq Sabhi Zikr Khuda Ka Karti Hai
Kehte Sabhi Hai Jinn o Bashar Kehta Shajar Hai Kehta Hajar
Kehta Hai Patta Patta La Ilaha Illallah
Hasbi Rabbi Jallallah Maafi Qalbi Ghairullah
Noor e Muhammad Sallallah la Ilaha Illallah