islamicdb

Taiba Ke Jane Wale Naat MP3 Download By Haji Mushtaq Attari

Taiba Ke Jane Wale Naat MP3 Download By Haji Mushtaq Attari. Taiba Ke Jane Wale Beautiful Naat MP3 Download By Alhaj Mushtaq Qadri Attari in best audio quality.

Page Views: 17.4 K

Download MP3 (445)

Description

Taiba Ke Jaane Waale Haji Mushtaq Attari naat mp3 play online & download. Large collection of Islamic naats shareef, download and listen online naat mp3 Online naats, hamds bayan & quran audios.

Taiba Ke Jane Wale Naat Lyrics

Taiba ke jaane wale, Jakar baray aadab say

Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say.

Taiba Kay Jaane Walay

Taiba Kay Jaane Walay

Kehna kay shah e aali, eik ranj o gham ka mara

Dono jahan mein iska, hai app hi sahara

Halaat e pur aalam say, har dam guzar raha hai

Aur kanptay labhoon say, faryaad ker raha hai

Baaray gunah apna, hai dosh per uthaye

Koi nahin hai aisa, jo puchanay ko aiye

Bhatka hua musafar manzil ko dhundta hai

Tarikiyoon mein mah e kamil ko dhundta hai

Senay mein hai andhera, dil hai siyah khana

Yeh sab meri haqeeqat sarkar ko sunana

Kehna meray Nabi say, mehroom hoon khushi say, sar per eik abray gham hai

Ashkoon say aankh naam hai, pamale zindagi hoon, sarkar ummati houn,

Ummat kay rehnuma ho, kuch arz e hal sunlo, faryaad ker raha houn,

Mein dil figar kab say, mera bhi kisa e gham kehna shahe arab sai.

Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab say

Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say.

Taiba Kay Jaane Walay

Taiba Kay Jaane Walay

Kehna kay kha raha houn, mein thokarein jahan mein

Tum hee batao aaqa, jaoon bhala kahan main

Mehsoos ker raha houn, duniya hai aik dhoka

Matlab kay yaar hain sab, koi nahin kisi ka

Kis ko mein apna janoon, kis ka main loun sahara

Mujko to meray aaqa hai aap ka sahara

Tum hi suno gay meri, tum hee karam karo gay

Dono jahan mein tumhi, mera bharam rakho gay.

 

Tum daad kha e alam, mein eik naseeb e barham

Tum bay kasoun kay wali, main bay nawas wali

Tum aasiyoon ka yaara, mein gardishoon ka mara

Rehmat ho tum sarapa, main murtiqam khata ka

Houn sharam sar apnay, aamal kay sabab say

Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say

 

Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab say

Mera bhi kisa e gham, kehna shah e arab say.

Taiba Kay Jaane Walay1

Taiba Kay Jaane Walay1

 

Aie aazam e madina, jaa kar Nabi say kehna

Soz e gham e aalam say, aab jal raha hai seena

Kehna kay dil mein lakhoon armaan bharay huay hain

Kehna kay hasratoon kay nashtar chubhay huey hein

Hai arzoo yeh dil ki, mein bhi madinay jayoun

Sultan e dojahan ko, sab dagh e dil dikhoon.

 

Katoun hazar chakar, taiba ki har gali kay

Youn hee guzar doun mein, aayam zindagi kay.

 

Phooloon pay jaan nisaroon, katoun pay dil ko waroun

Zaroun ko doun salami, dar ki karoun ghulami

Deewar o dar ko choumoon, qadmoon pay sar ko rakh doon

Mehboob say lipat kar, rota rahoun bara ber

Aalam kay dil mein hai yeh, hasrat najanay kab say

Mera bhi kisa e gham, kehna shah e arab say

 

Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab say

Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say.

Taiba Kay Jaane Walay

Taiba Kay Jaane Walay