Listen and download your favorite islamic MP3, videos & blogs.
Siddique Ismail Qurban Mein Unki Bakhsish Ke naat mp3 play online & download. Large collection of Islamic naats shareef, download and listen online naat mp3 Online naats, hamds bayan & quran audios.
Siddique Ismail Qurban Mein Unki Bakhsish Ke naat mp3 play online & download. Large collection of Islamic naats shareef, download and listen online naat mp3 Online naats, hamds bayan & quran audios.
Qurban main unki bakhshish ke
maksad bhi zuban par aaya nahi
bin mange diya aur itna diya
daaman mein hamaare samaaya nahi
be bandagi ko ooch kiya banda kar diya
taara mere naseeb ka tabinda kar diya
itni badi huzoor ki banda nawaaziyan
mujhko mere sawaal ne sharminda kar diya
unki jab shaan e kareemi pe nazar jaati hai
zindagi kitna marahal se guzar jaati hai
betalab mujhko diye jaata hai dene wala
haath uthte nahi neeyat meri bhar jaati hai
kisi ko kabhi dar se khali na taala
tawakko se badh kar ata karne wala
bhikhari anokhe hain daata niraala
kaun hai jo bipta ko taale unse mangein mangne waale
saare jag mein goonj rahi hai unki jai jaikaar
unka ka to shairaaz kareemi hai
maail wo karam hi rehte hain
jab yaad kiya aye salle allah
wo aa hi gaye tadpaaya nahi
wo rehmat kaisi rehmat hai
mafhoom samjh lo rehmat ka
usko bhi gale se lagaaya hai
jise apna kisi ne banaya nahi
imaan mila unke sadke
quran mila unke sadke
rehmaan mila unke sadke
woh kya hai jo hamne paaya nahi
main aap kahun rakh lije bharam
lillah karam lillah karam
taawan e amal mein neki ka
sarkar koi sarmaaya nahi
us mohsin e azam ke yun toh
khalid pe hazaron ehsaan hain
qurban main aise ehsaan ke
ehsaan kiya toh jataaya nahi..
By: Various Artist 7.5 K views
By: Various Artist 16.5 K views
By: Qari Khushi Muhammad 11.9 K views
By: Various Artist 9.5 K views
By: Various Artist 7.5 K views
By: Muhammad Owais Raza Qadri Attari 8.2 K views