islamicdb

Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein Naat MP3 Download

Naat Sarkar (SAW) ki parta hoon mein naat mp3 play online & download. Download and Listen to Naat in a Heart-Touching Voice, Along with the Lyrics. Also Available Naat WhatsApp Status and Ringtone Download.

Page Views: 57.8 K

Download MP3 (390)

Description

Naat Sarkar (SAW) ki parta hoon mein naat mp3 play online & download. Large collection of Islamic naats shareef, download and listen online naat mp3 Online naats, hamds bayan & quran audios.

Naat Lyrics

Naat e sarkar ki parta hu mein

Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi

ik tera naam waseela hey mera

ranjo o gham main bhi isi naam say rahat hogi

yahi suna hai kay bohot gaur andheri hogi

qabr ka khauf na rakhna aie dil

wahan sarkar kay chehray ki ziarat hogi

naat e sarkar ki parhata hu mein

bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi...

kabi yaseen kabi tauha kabi walail aya

jiski kasmein mera rab khata hai

kitna dil kash meray mehboob ki surat hogi

naat e sarkar ki parta hu mein

bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi.

hashar ka din bhi ajab dekhnay wala hoga

zulf lehra kay woh jab aayein gay

phir qayamat pay b khud aik qayamat hogi

naat e sarkar ki parta hu mein

bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi...

unko mukhtar banaya hai meray allah nay

khud main bas wohi jaa sakta hai

jisko hasnain kay nana ki ijazat hogi

naat e sarkar ki parta hu mein

bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi.

do jahan main usay phir koun panah main lay le ga

ho ga ruswa wo sar e hashr jisay

syeda zahra kay bachoon say adawat hogi

naat e sarkar ki parta hu mein

bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi.

unki chokhat pay para hain to bari mauj main hain

laut kay aayein gay jub us dar say

meray dil tu hi bata kiya teri halat hogi

naat e sarkar ki parta hu mein

bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi.

rushk say dur kharey dekhtay houn gay zahid

jub sar e hashr gunahgaroon par

meray aaqa ka karam ho gay inayat hogi

naat e sarkar ki parta hu mein

bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi.

mera daman to gunahoon say bhara hai aktaf

ik sahara hai kay hum tera hai

isi nisbat say sar e hashr shafaat hogi

Naat e sarkar ki parta hu mein

bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi...