islamicdb

Mera Payamber Azeem Tar Hai Syed Zabeeb Masood Shah Naat Sharif MP3 Download

Mera Payamber Azeem Tar Hai Naat by Syed Zabeeb Masood Shah naat mp3 play online & download. Download and Listen to Mera Payamber Azeem Tar Hai Syed Zabeeb Masood Shah Naat in a Heart-Touching Voice, Along with the Lyrics. Also Available Mera Payamber Azeem Tar Hai Syed Zabeeb Masood Shah Naat WhatsApp Status and Ringtone Download.

Page Views: 1.3 K

Download MP3 (106)

Description

Mera Payamber Azeem Tar Hai Naat by Syed Zabeeb Masood Shah naat mp3 play online & download. Large collection of Islamic naats shareef, download and listen online naat mp3 Online naats, hamds bayan & quran audios.

Mera Payamber Azeem Tar Hai Syed Zabeeb Masood Shah Naat Lyrics

  • MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI
  • kamaal-e-khallaq zaat Uski
  • jamaal-e-hasti hayaat Uski
  • bashar nahi azmat-e-bashar hai
  • MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI
  •  
  • Woh sharah-e-ehkaam-e- Haq Ta'ala
  • Woh khud he Qanoon... Khud hawala
  • Woh khud he Qur'an... khud he Qari
  • Woh aap mehtaab aap Haala
  • Woh aqs bhi.. aur aaina bhi
  • Woh nukta bhi ...khat bhi ...da'ira bhi
  • Woh khud nazaara hai.. khud nazar hai
  • MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI
  •  
  • sha'oor laaya Kitab laaya
  • Woh hashr tak ka nisaab laya
  • diya bhi kaamil nizaam Us ne
  • aur Aap he inqualaab laya
  • Woh ilm ki aur amal ki had bhi
  • azal bhi Uska hai aur abad bhi
  • Woh har zamane ka Raahbar hai
  • MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI
  •  
  • bas aik mashkeeza ik chatai
  • zara se jau aik char paayi
  • badan pe kapde bhi vaajibi se
  • na khush libasi na khush qaba'i
  • yehi hai kul kainaat Jiski
  • gini na jaye sifaat Jiski
  • wohi to Sultaan-e-bahr-o-bar hai
  • MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI
  •  
  • Jo Apna daaman lahoo se bhar le
  • museebatein Apni Jaan par le
  • Jo tegh zan se lade Nihatta
  • Jo ghaalib aakar bhi sulha kar le
  • Aseer dushman ki chaah mein bhi
  • mukhalifon ki nigaah mein bhi
  • Ameen hai Sadiq hai Motabar hai
  • MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI
  •  
  • Jiss'e shah-e-shash jehat dekhun
  • Usay ghareebon ke saath dekhun
  • Inan-e-kaun-o-makan Jo thaamey
  • kudal par bhi Woh haath dekhun
  • lage jo mazdoor Shah aisa
  • na zar na dhan Sarbarah aisa
  • falak nasheen ka zameen pe ghar hai
  • MERA PAYAMBAR AZEEM TAR HAI