islamicdb

Mein to panjtan ka ghulam hoon by noreena sharif

Download and Listen to Mein to panjtan ka ghulam hoon by noreena sharif in a Heart-Touching Voice, Along with the Lyrics. Also Available Mein to panjtan ka ghulam hoon by noreena sharif WhatsApp Status and Ringtone Downloads.

Page Views: 430

Download MP3 (79)

Mein to panjtan ka ghulam hoon by noreena sharif Lyrics

Main to panjtan ka ghulam hoon,

mein to panjtan ka ghulam hoon
Mein ghulaam ibn-e-ghulam hoon,

mein ghulaam ibn e ghulam hoon
Main to panjtan ka ghulam hoon

Mujhe ishq hai to Khuda se hai
Mujhay ishq hai to Rasool say
Yeh karam hai sara batool ka
Mere moon (mouth) say aye mehak sada
Jo mein naam loon tera jhoom kay
Mein to panjtan ka gulaam hoon

Kiya baat e raza us chamanistanay karam ki
Zahra hai kali jis mein Hussain ore Hassan phool
Mein to panjtan ka ghulam hoon
Mein ghulaam ibn-e-ghulam hoon

Mujhe ishq sarv o samal se hai
Mujhe ishq saray chaman say hai
Mujhe ishq unkay watan say hai
Mujhay ishq unki galii (street) say hai
Mujhe ishq hai to Ali se hai
Mujhe ishq hai to Hassan se hai
Mujhe ishq hai to Hussain say
Mujhay ishq shah e Zaman say hai
Mein to panjtan ka ghulam hoon

Mujh pay kitna niyazi karam ho gaya
Dunya kehnay lagi Punjtan ka gadha
Iss gharanay ka jabse mein nokar hua
Sab say achi meri nokari ho gayi
Mein to panjtan ka ghulam hoon

Hua kaisay tan(body) say woh sar juda
Jahan ishq ho wahin Karbala
Meri baat unhii ki baat hai
Meray saamne wohi zaat hai
Wohi jinko Sher E Khuda kahein
Jinhein Bab e Salle alaa kahein
Wohi jinko Aale Nabi kahein
Wohi jinko Zaat e Ali kahein
Wohi pukhtha hain mein to khaam hoon
Mein to panjtan ka ghulam hoon

Mera shair kiya mera zikr kiya
Meri baath kiya meri fikr kiya
Meri baath unke sabab se hai
Mera sher unke adab se hai
Mera zikr unke tufeil se
Meri fikr unke thufel se
Kahan muj men itni sakhat bala
Keho man kabath ka bhi hak ada
Mein to panjtan ka gulaam hun..