Jisy Chaha Dar Pey Bhula Liya Naat MP3 Download Alhaaj Khursheed Ahmed. Jisy Chaha Dar Pey Bhula Liya Beautiful Naat MP3 Download Alhaaj Khursheed Ahmed in best audio quality.
Page Views: 43.9 K
KhurshidAhmad Jisy Chaha Dar Pey Bhola Liya Jisy Chaha Apna Bana Liya naat mp3 play online & download. Large collection of Islamic naats shareef, download and listen online naat mp3 Online naats, hamds bayan & quran audios.
Jisay Chaha Dar Pe Bulaa Liya, Jisay Chaha Apna Bana Liya
Ye Baray Karam Ke Hain Faisle, Ye Baray Naseeb Ki Baat Hai
Na Kahin Se Door Hain Manzilein,Na Koi Qareeb Ki Baat Hai
Jise Chahay Uss Ko Nawaz De, Ye Dar-E-Habib Ki Baat Hai
Ye Baray Karam Ke Hain Faisle, Ye Baray Naseeb Ki Baat Hai
Woh Bhatak Ke Raah Main Reh Gayi, Ye Machal Ke Darr Se Lipat Gayi
Woh Kisi Ameer Ki Shaan Thi, Ye Kisi Ghareeb Ki Baat Hai
Ye Baray Karam Ke Hain Faisle, Ye Baray Naseeb Ki Baat Hai
Mujhe Jaan Se Barh Ke Azeez Dil, Mera Dard Dil Se Azeez Tar
Hai Jo Dard Se Bhi Azeez Tar, Woh Mere Tabeeb Ki Baat Hai
Ye Baray Karam Ke Hain Faisle, Ye Baray Naseeb Ki Baat Hai
Mein Buron Se Laakh Buraa Sahi, Magar Unse Hai Mera Waasta
Meri Laaj Rakh Le Mere Khuda, Ye Tere Habeeb Ki Baat Hai
Ye Baray Karam Ke Hain Faisle, Ye Baray Naseeb Ki Baat Hai
Tujhe Ayee Munaware-Be-Nawaa, Dar-E-Sheh Se Chahiye Aur Kya
Jo Naseeb Ho Kabhi Samna, To Bade Naseeb Ki Baat Hai
Jisay Chaha Dar Pe Bulaa Liya, Jisay Chaha Apna Bana Liya
Ye Baray Karam Ke Hain Faisle, Ye Baray Naseeb Ki Baat Hai..
By: Momina Mustehsan 3.5 M views
By: Syed Fasihuddin Soharwardi 3.3 M views
By: Hafiz Abubakar 3.1 M views
By: Muhammad Owais Raza Qadri Attari 3.1 M views
By: Sami Yusuf 2.8 M views
By: Sami Yusuf 2.7 M views