Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad Naat MP3 Download By Haji Mushtaq Attari. Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad Beautiful Naat MP3 Download By Alhaj Mushtaq Qadri Attari in best audio quality.
Page Views: 3.2 K
Bhar do jholi meri ya muhammad naat mp3 play online & download. Large collection of Islamic naats shareef, download and listen online naat mp3 Online naats, hamds bayan & quran audios.
Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad
Tumhaare aastane se zamaana kya nahi paata
Koi bhi dar se khaali maangne waala nahi jaata
Bhar do jholi meri Ya Muhammad
Lautkar mai na jaaunga khaali
Tum zamaane ke mukhtaar ho Ya Nabi
Bekaso ke madadgaar ho Ya Nabi
Sab ki sunte ho apne ho ya ghair ho
Tum ghareebo ke gham khwaar ho Ya Nabi
Hum hai Ranj o Musibat ke maare huwe
Saqt mushkil me hai gum se haare huwe
Ya Nabi kuch Khudaara hame bheek do
Dar pe aaye hai jholi pasare huwe
Hai mukhaalif zamaana kidhar jaaye hum
Haalat e Bekasi kisko dikhlaaye hum
Hum tumhare bhikaari hai Ya Mustafa
Kiske aage bhalaa haath failaye hum
Bhar do jholi meri Ya Muhammad
Lautkar mai na jaaunga khaali
Kuch nawaso ka sadqa ataa ho
Dar pe aaya hu bankar sawaali
Haq se paayi woh Shaan e Kareemi
Marhaba dono aalam ke waali
Uski qismat ka chamka sitaara
Jis pe Nazr e Karam tum ne daali
Zindagi baksh di bandagi ko
Aabroo Deen e Haq ki bachaali
Woh Muhammad ka pyaara nawasa
Jisne sajde me gardan kataali
Jo Ibne Murtaza ne kiya kaam khoob hai
Qurbaani e Hussain ka anjaam khoob hai
Khurbaan ho ke Fatima Zehra ke chain ne
Deen e Khuda ki shaan badhaayi Hussain ne
Bakhshi hai jisne Mazhab e Islam ko hayaat
Kitni azeem Hazrat e Shabbir ki hai zaat
Maidan e Karbala me Shah e Khush khisaal ne
Sajde mei sar kata ke Mohammad ke laal ne
Zindagi bakhsh di bandagi ko
Aabroo Deen e Haq ki bachali
Woh Muhammad ka pyaara nawaasa
Jisne sajde me gardan kataali
Hashr me unko dekhenge jis dam
Ummati yeh kahenge khushi se
Aa rahe hai woh dekho Mohammad
Jinke kaandhe pe kamli hai kaali
Mehshar ke roz Pesh e Khuda honge jis ghadi
Hogi gunahgaaro me kis darjaa bekali
Aate huwe Nabi ko jo dekhenge ummati
Ek dusre se sab yeh kahenge khushi khushi
Aa rahe hai woh dekho Mohammad
Jinke kaandhe pe kamli hai kaali
By: Momina Mustehsan 3.5 M views
By: Syed Fasihuddin Soharwardi 3.3 M views
By: Hafiz Abubakar 3.1 M views
By: Muhammad Owais Raza Qadri Attari 3.1 M views
By: Sami Yusuf 2.8 M views
By: Sami Yusuf 2.7 M views