islamicdb

Aesa Tujhe Khaliq Ne Naat Sharif Download

Aesa-Tujhe-Khaliq-Ne-Taradar-by-Qari-Khushi-Muhammad mp3. Download naat mp3,naat audio,free mp3 naat,tilawat audio,tilawat mp3,naat mp3

Page Views: 608

Download MP3 (126)

Aesa Tujhe Khaliq Ne Naat Lyrics

Aisa tujhe khaliq ne tarahdaar banaya
Yusuf ko tera taalibe dedaar banaya

Tal’at se zamane ko pur anwaar banaya
Nikhat se gali kucho ko gulzaar banaya

Deewaro ko aaina banate hai wo jalwe
Aaino ko jin jalwo ne deewar banaya

Aye nazme risalat ke chamakte hue makte
Tune hi use matlaaye anwaar banaya

Kaunain banaye gaye Sarkar ki khatir
Kounain ki khatir tumhe Sarkar banaya

Kunji tumhe di apne khazano ki khuda ne
Mehboob kiya Maalik o Mukhtaar banaya

Allah ki rehmat  hai ke aise ki ye kismat
Aasi ka tumhe haami o gamkhaar banaya

Aainaye zaate Ahadi aaphi thehre
Wo husn diya aisa tarahdaar banaya

Anwaar tajalli se wo kuch hairate chaayi
Sab aaino ko pusht badewaar banaya

Aalam ke salateen bhikari hai bhikari
Sarkar banaya tumhe Sarkar banaya

Ye lazzate Pa Bos ke paththar ne jigar me
Nakshe qadame Sayyed e Abrar banaya

Khuddam to bande hai tere husne khalk ke
Pyare tujhe badkharo ka gamkhaar banaya

Be parda wo jab khaak nasheeno me nikal aaye
Har zarre ko khursheede pur anwaar banaya

Aye maahe arab mehre ajam mai tere sadqe
Zulmat ne mere din ko shabe taar banaya

Lillah karam mere bhi veeranaye dil par
Sehra ko tere husn ne gulzaar banaya

Allah Ta’ala bhi hua uska tarafdaar
Sarkar tumhe jisne tarafdaar banaya

Gulzaar jinaa tere liye HAQ ne banaaye
Apne liye tera gule gulzaar banaya

Be yaar o madadgaar jinhe koi na pooche
Aiso ka tujhe yaar o madadgaar banaya

Har baat bad amaliyon se maine hai bigaadi
Aur tumne meri bigdi ko har baar banaya

Us jalwaaye rangeen ka tasadduk tha ke jisne
Firdaus ke har takht ko gulzaar banaya

Us roohe mujassam ke tabarruk ne masiha
Jaan bakhsh tumhe yu dame guftaar banaya

Us chehraye pur noor ki wo bheek thi jisne
Mehrooma wo anjum ko pur anwaar banaya

Un haatho ka jalwa tha ye aye Hazrat e Moosa
Jisne yadi biza ko ziya baar banaya

Unke labe rangi ki nichawar thi wo jisne
Paththar me husn laalaye e pur anwaar banaya..