islamicdb

Listen and download your favorite islamic MP3, videos & blogs.

Sarkar Tawaju Farmain Naat MP3 Download By Owais Raza Qadri

Sarkar Tawaju Farmain Naat MP3 Download By Owais Raza Qadri. Sarkar Tawaju Farmain Beautiful Naat MP3 Download By Owais Raza Qadri in best audio quality.

Download MP3 (623)

Sarkar Tawaju Farmain Naat MP3 Download By Owais Raza Qadri

Description

Sarkar Tawaju Farmain Owais Raza Qadri naat mp3 play online & download. All kind of Islamic naats shareef, download and listen online naat mp3 Online naats, hamds lectures & quran audios.

Lyrics

Hazir hain dare Daulat pe gada
Sarkar Tavajjoh farmayen

Mohtaje nazar hai haal mera
Sarkar Tavajjoh farmayen

Main kab aane ke kabil tha
Rahmat ne yahan tak pahunchaya
Sarkar pe tan man jaan fida
Sarkar Tavajjoh farmayen

Mohtaje nazar hai haal mera
Sarkar Tavajjoh farmayen

Main karke sitam apni jaan par
Quraan se jaao ka sun kar
Aaya hun bahut sharminda sa
Sarkar Tavajjoh farmayen

Gar tum na suno ge
To meri kaun sunega
Gar tum na karoge
To karamkaun karega

Aaya hun bahut sharminda sa
Sarkar Tavajjoh farmayen

Koi sajdon ki saugat hai na koi
Zohdo takva mere paas sarkar hai
Chal pada hun main roze ki janib magar
Haae sar par gunahon ka ambar hai
Jurmo isyaan se apne lajata hua
Aur ashke nadamat bahata hua
Teri rehmat pe nazrein jamata hua
Dar pe hazir ye tera gunahgar hai

Aaya hun bahut sharminda sa
Sarkar Tavajjoh farmayen

Tera saani kahan shahe kauno makaan
Mujsa aasi bhi ummat main hoga kahan
Tere afvo karam ka shahe do jahan
Kya koi mujse bad kar bhi hakdaar hai

Aaya hun bahut sharminda sa
Sarkar Tavajjoh farmayen

Ae gumbade khazra ke makeen 
Meri madad kar
Ya fir ye bata kaun mera tere siva hai

Aaya hun bahut sharminda sa
Sarkar Tavajjoh farmayen

Aansu aansu hain fariyadi
Aur arze karam hichki hichki
Dhadkan dhadkan deti hai sada
Sarkar Tavajjoh farmayen

Ek main hi nahi puri ummat
Sari duniya sari khalkat
Takti hai rasta rahmat ka
Sarkar tavajjoh farmayen

Ae khasa e khasane rusul
Wakte dua hai
Ummat pe teri aake ajab wakt pada hai
Ek baar aur tu tayba se falasteen mai aa
Rasta dekhti hai masjid e aqsa tera
Sarkar tavajjoh farmayen

Jo din badi shan se nikla tha vatan se
Pardesh main wo aaj garibul gurbaan hai
Sarkar tavajjoh farmayen

Kis Kis ko jaa kar kahen Tajdare haram
Thera daale hue hain duniya ke gam
Raham farma de ab teri ummat hain ham
Sarkar tavajjoh farmayen

Ek baar aur tu tayba se falasteen mai aa
Rasta dekhti hai masjid e aqsa tera
Ek main hi nahi puri ummat
Sari duniya sari khalkat
Takti hai rasta rahmat ka
Sarkar tavajjoh farmayen

Bad hain to aap ke hain bhale hain to apke
Tukdon pe to yahin ke pale rukh kidhar karen
Sarkar tavajjoh farmayen