islamicdb

Kya Khabar Kya Saza Naat MP3 Download By Haji Muhammad Mushtaq Qadri

Kya Khabar Kya Saza Naat MP3 Download By Haji Muhammad Mushtaq Qadri. Kya Khabar Kya Saza Beautiful Naat MP3 Download By Alhaj Mushtaq Qadri Attari in best audio quality. Explore and download a variety of Islamic MP3s.

If download not start automatically click here to download

Click here to download MP3 (152)

Kya Khabar Kya Saza Naat Lyrics

Kya khabar kiya saza mujh ko milti

Meray Aqa(S.A.W) nay izzat bachali.

Farde isiyan meri mujh se lay kar

Kali Kamli mein Apni(S.A.W) chupali.

Woh (S.A.W) aata par ata karne wale

Aur hum bhi nahin talne wale.

Jaisi deodi hai waise bhikari

Jaisa Data hain waisay sawali.

Kya Khaber kya saza mujhko milti

Mere Aqa (S.A.W) ne Izzat bachali.

Mein ghada hoon magar kis kay dar ka

Woh jo Sultan-e-Kono Makan (S.A.W) Hain.

Kya Khaber kya saza mujhko milti

Mere Aqa (S.A.W) ne Izzat bachali.

Yeh Ghulami badi mustanad hai

Mere sar par hai taj-e-Bilali.

Mein Madinay say kya agaya hun

Zindagi jaise bujh si gai hai.

Ghar ke andar faza soni soni

Ghar key baher sama khali khali.

Meri Umr-e-Rawan bus thehar jaa

Ab safar ki zuroorat nahin hai.

Unke (S.A.W) qadmoun mein meri jabeen hai

Aur hathoun mein Rozay ki Jali.

Mein faqat naam lewa houn Unka (S.A.W)

Unki(S.A.W) tauseef mein kya karoonga

Mein na Iqbal (Allama Sir Muhammad Iqbal), Qusro (Amir

Khusro) na Saadi

Mein na Qudsi na Jami na Hali.

Kya Khaber kya saza mujhko milti

Mere Aqa (S.A.W) ne Izzat bachali.