islamicdb

Ik Main He Nahin Un Per Qurban Zamana Hai mp3

Mahnoor Altaf naat mp3 play online & download. Download and Listen to Ik Main He Nahin Un Per Qurban Zamana Hai mp3 in a Heart-Touching Voice, Along with the Lyrics. Also Available Ik Main He Nahin Un Per Qurban Zamana Hai mp3 WhatsApp Status and Ringtone Download. Explore and download a variety of Islamic MP3s.

If download not start automatically click here to download

Click here to download MP3 (124)

Ik Main He Nahin Un Per Qurban Zamana Hai mp3 Lyrics

  • Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai ,
  • Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai,
  • Jo Rab E Do Aalam Ka Mahboob Yagana Hai.
  •  
  • Kal Pul Say Hamein Jis Nay Khud Par Lagana Hai,
  • Zahra Ka Woh Baba Hai Hasnain Ka Nana Hai.

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai 

  • Iss Hashmi Dulha Per Konain Ko Main Waroon,
  • Jo Husn O Shumail Mein Yakta E Zamana Hai.
  •  
  • Izzat Say Na Marjayein Kyun Naam E Muhammad Par,
  • Youn Bhi Kisi Din Hum Ne Duniya Say Toh Jana Hai.

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai 

  • Yoon Shah E Madina Ki Mein Pusht Panahi Mein,
  • Kiya Iski Mujhe Parwah Dushman Jo Zamana Hai.
  •  
  • Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai 
  •  
  • Soh Bar Agar Tauba Tuti Bhi To Kiya Hairat,
  • Bakhshih Ki Riwayat Mein Toba To Bahana Hai.
  •  
  • Pur Noor Si Rahein Hain, Gunbad Pay Nigahein Hai,
  • Jalwey Bhi Anokhay Hain, Manzar Bhi Suhana Hai.
  •  
  • Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai 
  •  
  • Yeh Keh Kay Dar E Haq Say Li Maut Mein Kuch Mohlat,
  • Milad Ki Aamad Hai Mehfil Ko Sajana Hai.
  •  
  • Aao Dar E Zahra Par Phalaye Hue Daman,
  • Yeh Nasal Kareemon Ki Lajpal Gharana Hai.
  •  
  • Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai 
  •  
  • Qurban Us Aaqa Per Kal Hashr Ke Din Jisnay,
  • Iss Ummat E Aasi Ko Kamli Mein Chupana Hai.
  •  
  • Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai 
  •  
  • Har Waqt Woh Hain Meri Duniya E Tasawar Mein,
  • Aie Shoq Kahin Ab To Aana Hai Na Jana Hai.
  •  
  • Hum Kyun Na Kahein Unsay Rodad E Alam Apni,
  • Jab Unka Kaha Khud Bhi Allah Nay Mana Hai.
  •  
  • Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai 
  •  
  • Mehroom E Karam Is Ko Rakhiye Na Sar E Mehshar,
  • Jaisa Hai Naseer Aakhir, Sahil Toh Purana Hai.